Tuesday, May 30, 2006

khamoshi chhaayi harsun

just penning down some random thoughts ...

kyon khamosh-si hai raat
kyon din bhi udaas hai
ya tere ashk kehte dastaan
ya meri aah keh rahi hai ...


hai aarzoo ki jhanjhar
ya goonjti har sada hai
hain jugnuon ke manzar

ya phir shab maayoos-si hai ...

yun keh raha hai sehra
kya phir naya tarana
ya sun raha hai kafir
in tanhaiyon ke kai-kasha ...


hai khamoshi chaayi harsun
ek aahat tak bhi ghum hai
jhonka bhi chup hai ab tak
jaane kiski nazar ka illm hai ...


humming aloud

waqt ki qaid mein ... zindagi hai magar
chand ghadiyan yahi hain ... jo azaad hain
inko khokar meri jaan-e-jaan
umr bhar na taraste raho
aaj jaane ki zid na karo
yuhi pehlu mein baithe raho ...